Saturday, September 4, 2010

KALYUG KE RAM

Aaye the yahan, dil mein sanjoye kayi khwab
Badhenge sabse aage, jeb mein honge note hazaar

Nikle the college ke liye ,kabhi ghar se door
Vada tha ma ko ,naukri lagte hi rahenge saath zaroor

Roz roz poocha karti, kya khaya beta
Bhooka rehta tha pet, par keh diya mess mein aaj mila tha petha

Din se Hafte , Hafton se Mahine, Mahino se kuch saal ban gaye
Ghat ti rahi charbi par phir bhi gym jaane ki khabhar ghar par dete rahe.

Kabhi kabhi akele mein tha man rota,
Yaad aate the woh din jab bina ma ke thapthapaye, mein na tha sota

College ka aaya aakhri saal
Naukri mili to laga ki ho gaye malam maal

Ma ne poocha, Naukri ghar ke hi hai na paas ?
Maine samjhaya aakhir Ram ne bhi to kata tha 14 saal ka vanvaas


Sheher ki is badti bheedh mein thama diya hume bhi ek computer
Manager ne kaha, Haalath hi sab sikhayega, become your self tutor

Movies aur games ke liye humesha use kiya tha jo device
Pet isi se bharega, di hume kisi ne advice

To shuru hua 9 to 5 ka silsila
Raaste beshak the bahut hi durgam, par mein kabhi na finsla

Ma ka aaj bhi roz aata tha call, on my mobile
Gusse mein kabhi kabhi kaat deta, kehkar ki i am strengthening my profile

Hike hui, promotion mila,bhar di bonus ne jeb
Ghar par bataya to Ma ne diya aashirvaad par kaha beta ab to aaja, na kar tu mere sang fareb

Gaadi aayi, mila naya ghar ,
Office mein bhi ab logon ne kehna shuru kar diya, yes sir

Patni ko diye gift hazaar
Boodhi ma ko nayi sari dena ,ab laga mujhe bekaar

Phone ab aaya karte the kam
Maine bhi Ma ko keh diya ki , rehna hai ab yahin, na paal apne man mein tu koi bharam

Din se hafte, Hafton se mahine, mahino se ban gaye saal anek
Jeb mein tha paisa , ab celebrate kiya karta the Biwi bachon ke sang, US mein summer break

Pitaji ne ek din phone pe kaha ki ma ki nakhush hai tabiyat
Jaldi se tu aaja, di unhone mujhe naseehat

Mujhe laga ki ghar bulane ki thi ye koi prank
Maine kaha sabse achche aspatal mein le jao, bhej raha hun ek cheque blank

Ek din phir aaya phone, Ma ki aawaz mein tha dard
Lalkara mujhe kehkar ki tera banta hai kuch farz

Gusse mein pakdi agli flight
Na samajh saka mein Ma ki plight

Ghar pahuncha to dekha, bheed hai jami
Dheere se kisi ne kaha, aakhri waqt mein ma ko khali tumhari hi kami

Bhavnaon ke saagar mein doob, aankhon ke saamne dikhe ek ek paap jo maine kiye
Pados vali Moofat aunty ne kaha, are maar diya apni ma ko karam jale

Ma ne usi blank cheque ke peeche likhkar kiya apna dil-e-izhaar
Maaf kariyo mere laal, mein apne raam ke vanvaas khatam hone ka na kar saki intazaar

Ma ko dekha zameen par lete behosh
Lipta unke tan se , toot gaya meri aankhon mein chupa aansuon ka kosh

Daah sanskar kiya to yaad aaya khwaab
Kama liye the ab note hazaar , par kya sach mein yahi tha jeevan ka saar .

Meri nanni si beti ne cheque ke peeche dekha, to poocha
Papa kya Kalyug ke ram ka hota hai 24 saal ka vanvaas ?

3 comments: